Tuesday, 7 April 2015

Log kehte hai....

Log kehte hai nasha chor do,
werna mar jao gay,
Main kehta hu, ye nasha us bewafa se to acha hai,
Jo maut tak sath to nibhayega..

Monday, 6 April 2015

Us bewafa..

Us bewafa ko kaise samjhau,
Ki kitna dard dete hai,
Ye khamosh labs...
Kehte bhi kuch nahi hai,
Or smjha bhi sab jate hai...

Sunday, 5 April 2015

Kamal ki...

Kamal ki shaksiyat rakhta tha wo,
Ajnabee tha, par apna sa lagta tha wo,
Jadu tha uska, ya tha veham mera,
Jaisa bhi tha, par hosh uda gaya wo....

Us chand..

Us chand se chehre ne, wo dilkash ada dikhai,
Ki katl bhi mera hua or katil bhi hum hi kehlaye..

Friday, 3 April 2015

Rukh se....

Rukh se nakab to hata diya,
Par fitrat na chupa pai,
Tha wada saat janam ka,
Kuch pal sath na chal pai....


                     By:-
                             Bhaskar

Waqt ki.....